Monday, January 08, 2007

Mere ghar ke aangan ke sookhe patte...

Yeh sookhe patte jo ab in paththaron pe khamosh pade hain
jo kucch roz pehle hi lehraaye the hawaaon mein
jo un darakhton pe lade the hariyaali ke saayon mein


Mausam badalte hi darakhton ne unhe ukhaad phenka
palat-ti hui hawaaon ne unhe dhamm se patak diya
sadiyon se bejaan paththaron ne unhe sula liya!

2 comments:

Ibn-e-Shaida said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Ibn-e-Shaida said...

shhakh-e-gul se mujhe be wajah chheen kar
phoolon ko tumne kyun ruswa kiya hai
sookhe patte ki maanind mere haath ko
lakeeron se phir usko chhalni kiya hai