Friday, January 05, 2007

Mere pehle filmi bol...

Khwahishon ka bhanwar hai
manzilein saamne hain
raah par hain kadam bhi
honge kya kamyaab
Khwahishon ka bhanwar hai....

Kal nahi tha jo mumkin
kal bhi asaan nahi
hai yakeen aaj khud par
kal bhi hoga yakeen
ummeed se hai hausla
ummeed hi hai junoon
khwahishon ka bhanwar hai....

Ab kisi ka nahi darr
mushkilein hain magar
manzilon se bhi badhkar
hai zaroori safar
mushil hai kya, manzil hai kya
hai ab safar humsafar
khwahishon ka bhanwar hai...

Khwahishon ka bhanwar hai
manzilein saamne hain
raah par hain kadam bhi
honge hum kamyaab

-The above song was written by me for the film "Diploma", an FTII Acting batch 2006 students' film.
Copyrights with FTII, Pune.

No comments: