Wednesday, February 07, 2007

Mujhe hai yaad …

Mujhe hai yaad …

..woh ek hansi, woh ek jaagti hui subah
..woh chehra, woh us subah ki kiran
..woh lat, woh us kiran ki chhaanv
..woh kadam, woh ek tez leher
..woh khushboo, woh mehekti fizaa
..woh aankhein, woh kaaynaat hi saari

Mujhe hai yaad …

..woh mera har subah ka intezaar
..woh us pehli kiran ki garmaahat
..woh ek narm chhaanv ka sukoon
..woh tez behti leheron ka junoon
..woh mehekti fizaa ki khushboo
..woh kaaynaat ke rangeen khwaab

Mujhe hai yaad …

..woh subah-subah ki raftaar mein hi beh jaana
..woh dopahar ki dhoop jaise alsaana
..woh hansna aur khilkhila uthna
..woh gupchup doston ki baaton mein din bita lena
..woh cheezein rakh ke kahin aur hi bhula dena

Mujhe hai yaad …

..woh ladna aur jhagadna kissa-e-duniyadaari par
..woh ek si hi samajh hona gham-e-rozgaari par
..woh mujhse kehna tumhara ke kis baat pe chup ho
..woh mera kucch kehna aur kucch na keh paana
..woh hamesha ki tarah tumhara muskura jaana
..woh cheezon ki tarah sab kucch wahan bhula jaana

..woh kehna yun ke bhulaoge nahi tum humko
..woh shart rakhna ke main yaad dilaoon tumko

Mujhe hai yaad…
..woh sab jo kabhi hua tha magar
Main chahta hoon…
..woh sab jo kabhi hua hi nahi

No comments: